preloader
0

Cart

Understanding Sales job in Hindi

“Sales job” aap kisi bhi company mei jayenge toh ek highest paying job hoti hai kyonki sales ke liye aapke paas
1. Customer relationship building skills
2. Empathy
3. Sympathy
4.customer knowledge
5.product knowledge
6.closing technique
7. Wo product customer ki requirement mei kaise fit hoga.
8. Customer ke liye product ki need ko create karna
Ye aisi skills hain jo samay ke saath aati hain, isiliye bahut saare candidates ko sales ki job acchi nhi lagti.
Kyonki  corporate companies bhi candidates ko unnecessary pressure karti hain aur wo bhi jaldbaazi mei irritate ho kar galat decisions le lete hain aur aur ya toh unki job chali jaati hai ya wo dusri company join kar lete hain. Jahan phir unhe wahi karna padt hai aur wahan bhi unko same problem aati hai.
Candidates kabhi iss profession ko enjoy hi nhi kar paate hain.
Sales job ke liye aapki planning bahut important hai. Agar aapne har customer ke liye alag se planning kar li hai toh aapko apni sales close karne mei bahut hi high success rate milega.
Aur sabse important closing hai. Aapne chahe jitni acchi call ki per agar closing nhi ki toh toh 95% chances hain ki product sale nhi hoga.
Puri company mei sbse jyada salary sales Wale hi paate hain.aap chahe kisi bhi industry mei chale jaiye. Toh jarurat hai iss profession ko love karne ki jitna aap isme deep jaate jaayenge ye aapko utna hi paise kama kar degi.

Related Post

Leave a Reply